Kya main kabhi doctor ban paunga? Sawaal har MBBS, FMGE aur NEET PG aspirant ke (Medical Learner)

Raat ke 2 baje Hostel ka kamra me, ek student desk par baitha tha. Notes khule hue, ek coffee cup thanda pad gaya tha, aur aankhon ke neeche dark circles. Dim light mein sirf ek hi sawaal ghoom raha tha – "Kya main kabhi doctor ban paunga?"

Hostel ka kamra poster

Jab tum dekhte ho dost shaadi kar rahe hain, jobs le rahe hain, zindagi chill kar rahe hain, aur tum abhi bhi Exans,test series ya fir yeh notes mein hi atke ho, tab lagta hai ki shayad life khatam si ho gayi hai. Lekin asli kahani yahi se shuru hoti hai. Medico life ek battlefield hai, jahan tumhe syllabus ke saath-saath apne darr, anxiety, aur failures se bhi ladna padta hai.

Medico life mein struggle optional nahi hai, par give up karna optional hai.

Kabhi lagta hai ki saari duniya aage nikal gayi aur tum bas wahi stuck ho. Par yaad rakhna, ghar par ek maa apni duaon mein tumhara naam leti hai, ek papa apna comfort sacrifice karta hai sirf tumhari fees ke liye. Tumhare liye unki umeed sabse bada motivation hai.


Ghar walon ki umeed ka weight sabse bada syllabus hota hai.

Har sleepless night, har failed test, aur har anxiety attack ek din worth ho jaayega. Tumhare patient tumhe “Doctor Sahab” keh kar bulayenge aur tab tum samjhoge ki saari struggle ka matlab kya tha. MBBS tough hai, FMGE tough hai, NEET PG tough hai. Lekin tum usse bhi tough ho. Tumhe sirf ek baat yaad rakhni hai: rukna mat.

Questions You may have in mind

Q: Sab log aage badh rahe hain… main hi kyu atka hua hoon books aur exams mein?

A: Tum long track par ho jahan ek din tumhara ek signature kisi ki zindagi bacha lega. Aaj slow lag raha hai, kal sab tumse tez bhaagne walon se peeche reh jaayenge.

Q: Kya meri ek failure attempt ka matlab hai ki main doctor ban’ne layak nahi?

A: Bilkul nahi. Failure ek proof hai ki tumne try kiya. Doctor ban’ne ka raasta ek marathon hai. Jitni baar girte ho, utna hi strong uthte ho.

Q: Kya itna struggle worth hai? Itne sleepless nights, anxiety, tears… sab waste toh nahi?

A: Ek din white coat pehnoge aur patient tumhe “meri zindagi aapne bachaayi” kahega, tab samjhoge ki har raat, har aansoo, har sacrifice ek gold medal tha.

Kabhi kabhi lagta hai ki struggle endless hai, lekin asli mein yeh struggle hi tumhe woh doctor banayegi jo patient ki aankhon mein sirf ek naam hoga – “Mere doctor sahab.” Aur jab tum apni white coat pehnoge, tab samjhoge ki safar kitna bura tha, par manzil usse hazaar guna zyada khoobsurat hai.


Doctor banna hai toh dard sehna padega – pehle apna, baad mein patient ka.

So, agli baar jab notes samajh na aaye, test galat ho jaaye, ya rank neeche aa jaaye – ek baat yaad rakhna: Doctor ban’na asaan hota toh har koi ban jaata. Tumhe choose kiya gaya hai, isi liye tumhara raasta tough hai.

0 Comments